sanam pas hai aur shab-e-mah hai ye shab hai ki allah hi allah hai tere naz kyunkar uthaun na main meri dosti par tu gumrah hai tujhe hosh itna nahin be-khabar mere haal se kab tu aagah hai tera nam lete nikalti hai aah meri aah ke dil mein kya aah hai kahan barq-e-ishq o kahan koh-e-sabr bagule ke aage par-e-kah hai main kyunkar kahun tujh ko fursat nahin pe ye baat kab tere dil-khwah hai na aane ke sau uzr hain meri jaan aur aane ko puchho to sau rah hai main ek roz puchha jo us shokh se ki kyun kuchh tujhe bhi meri chah hai to hans kar laga kahne kya khub kyun to mera kahan ka hawa-khwah hai ye sin kar jo main chup raha to kaha abe dil ka malik to allah hai 'hasan' wasl aur hijr mein yar ke kabhi aah hai aur kabhi wah hai