sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain tahi zindagi se nahin ye fazaen yahan saikdon karwan aur bhi hain qanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain agar kho gaya ek nasheman to kya gham maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain tu shahin hai parwaz hai kaam tera tere samne aasman aur bhi hain isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja ki tere zaman o makan aur bhi hain gae din ki tanha tha main anjuman mein yahan ab mere raaz-dan aur bhi hain
Please share if you liked this!!!