sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega thake-haare hue suraj ki bhigi raushni mein hawaon se ulajhta baadban kaisa lagega jame qadmon ke niche se phisalti jaegi ret bikhar jaegi jab umr-e-rawan kaisa lagega isi mitti mein mil jaegi punji umr bhar ki giregi jis ghadi diwar-e-jaan kaisa lagega bahut itra rahe ho dil ki bazi jitne par ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega wo jis ke baad hogi ek musalsal be-niyazi ghadi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega abhi se kya bataen marg-e-majnun ki khabar par suluk-e-kucha-e-na-mehrban kaisa lagega batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega