tere baad koi bhi gham asar nahin kar saka

tere baad koi bhi gham asar nahin kar saka
koi saneha meri aankh tar nahin kar saka

mujhe ilm tha mujhe kam padegi ye raushni
so main inhisar charagh par nahin kar saka

mujhe jhut ke wo jawaz pesh kiye gae
kisi baat par main agar-magar nahin kar saka

mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main
koi ek mohra idhar-udhar nahin kar saka

kai paikaron ko mere khayal ne shakl di
jinhen runuma mera kuza-gar nahin kar saka

mere aas-pas ki muflisi meri mazarat
tera intizam main apne ghar nahin kar saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close