jatan karta to hun lekin ye bimari nahin jati jo mere khun mein shamil hai khud-dari nahin jati ye us ka kaam hai firqa-parasti chhod de kaise siyasat kuchh bhi kar le us ki makkari nahin jati wo budha shakhs apni jaan tak nilam kar baitha magar afsos us ke ghar ki dushwari nahin jati sulaya hai faqat pani pila kar us ne bachchon ko hain aansu khushk lekin us ki siskari nahin jati meri gham-khwar ye duniya na ho to gham nahin 'sahil' meri fitrat mein shamil hai ye gham-khwari nahin jati