tilsmati faza taKHt-e-sulaiman par liye jaana

tilsmati faza takht-e-sulaiman par liye jaana
mere ghar mein utarti sham ka manzar liye jaana

wo asbab-e-shikast-o-fatah khud hi jaan jaega
alam jab hath se chhute to mera sar liye jaana

garaj ke sath bijli bhi chamakti hai pahadon mein
musafir hai ki tufani hawa ko ghar liye jaana

khule jate hain jaise dil ke sare band darwaze
ab un qadmon ki aahat kya samaat par liye jaana

wahan sunte nahin hain dekhte hain zakhm-e-peshani
agar jaana to aaina pas-e-jauhar liye jaana

gali ki khak mutthi mein liye hain chahne wale
'zubair' is kimiya ko tum bhi chutki-bhar liye jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close