uDate aae hain aap apne KHwab-zar ki KHak

udate aae hain aap apne khwab-zar ki khak
ye aur khak hai ek dasht-e-be-kanar ki khak

ye main nahin hun to phir kis ki aamad aamad hai
khushi se nachti phirti hai regzar ki khak

hamein bhi ek hi sahra diya gaya tha magar
uda ke aae hain wahshat mein be-shumar ki khak

hamin muqim hue muddaten huin lekin
suron se ab bhi nikalti hai rahguzar ki khak

ye haal hai ki abhi se khanak rahe hain zaruf
abhi gundhi nahin jin mein se be-shumar ki khak

suna hai dhundte phirte hain kab se kuza-garan
hamari aankh ka pani tere dayar ki khak

ajab nahin ki mujhe zinda gadne wale
kal aa ke phank rahe hon mere mazar ki khak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close