yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana yun fazaon mein simatna ki ghata ho jaana is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana nai zanjir hai duniya ka har ek hangama asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana mast-e-pindar sahi saz-e-khudi kyun chhedun be-khudi ko meri aata hai khuda ho jaana yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana