umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam

umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam
hae wo masti-e-sahar hae wo be-khudi-e-sham
pahle maal soch len ham-safaran-e-sust-gam
meri sarisht mein nahin khwahish-e-manzil-o-maqam
tair-e-khasta-haal ko dam bhi kunj-e-ashiyan
murgh-e-chaman-naward ko gosha-e-ashiyan bhi dam
ab bhi khuda-parast hai dair-o-haram ki qaid mein
hae-nigah-e-na-rasa hae-mazaq-e-na-tamam
kaif-e-nazar ki mastiyan ahl-e-nazar se puchhiye
jaise koi pila gaya baada-e-mushk-bu ke jam
khubi-o-shan-e-dil-bari ghamza-o-naz hi nahin
husn mein wo ada bhi hai jis ka nahin hai koi nam

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close