umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam hae wo masti-e-sahar hae wo be-khudi-e-sham pahle maal soch len ham-safaran-e-sust-gam meri sarisht mein nahin khwahish-e-manzil-o-maqam tair-e-khasta-haal ko dam bhi kunj-e-ashiyan murgh-e-chaman-naward ko gosha-e-ashiyan bhi dam ab bhi khuda-parast hai dair-o-haram ki qaid mein hae-nigah-e-na-rasa hae-mazaq-e-na-tamam kaif-e-nazar ki mastiyan ahl-e-nazar se puchhiye jaise koi pila gaya baada-e-mushk-bu ke jam khubi-o-shan-e-dil-bari ghamza-o-naz hi nahin husn mein wo ada bhi hai jis ka nahin hai koi nam