wafa ki rah mein kya mehrban mila mujhko

By shaikh-saleem-saharFebruary 5, 2022
wafa ki rah mein kya mehrban mila mujh ko
jo aap mil gae sara jahan mila mujh ko
tujhi ko apna banaya tujhi se pyar kiya
sukun-e-qalb tere bin kahan mila mujh ko


kise sunata main kaifiyyat-e-darun-e-dil
na ham-sukhan na koi ham-zaban mila mujh ko
nigah-e-qalb ke khulte hi aaj mera khuda
main dhundta tha kahan aur kahan mila mujh ko


main jab lagan ke paron se udan bharne laga
nai zamin naya aasman mila mujh ko
27879 viewsghazalEnglish