fareb-kar parinda tha par jo mar gaya giraft chhut gai hath se shikar gaya yahi nahin hai ki wade ka eatibar gaya ek aaina bhi to zad mein pas-e-ghubar gaya main qurbaton ki dagar se kahan nahin pahuncha khudi ki jhil mein utra junun ke par gaya koi charagh jala kar hi raat hum katen wo raushni ka payambar tha din guzar gaya main tere dar se tahi-dast uth nahin sakta bas ek kulah-e-ana thi use bhi haar gaya yahan to khud ko samajhna muhaal hai 'shaeq' mera shuur ye aakhir kahan utar gaya