wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya

wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya
jahan-e-ishq mein yak-bargi ek inqalab aaya

zamin ke zarre zarre se numayan ho gae jalwe
sar-e-gulzar wo rashk-e-qamar jab be-hijab aaya

mukarrar zindagani ka maza ho jaega hasil
dam-e-akhir bhi qasid le ke gur khat ka jawab aaya

muqaddar se mere donon ke donon bewafa nikle
na umr-e-bewafa palti na phir ja kar shabab aaya

wafur-e-sharm se us aaftab-e-husn ke aage
jahan ka har hasin dale hue munh par naqab aaya

dil-e-betab-o-taqat ko tasalli kuchh hui hasil
payam us but ke aane ka jo waqt-e-iztirab aaya

ajab pur-kaif aalam hai zamana mast hai 'anwar'
ki un ke chaudhwin man mein nazar rang-e-sharab aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close