jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle aise haalat mein ab ghar se koi kya nikle us ke lahje mein sarabon ki ajab raunaq hai ain mumkin hai wo tapta hua sahra nikle har taraf khwab wahi khwab wahi ek chehra ab kisi taur mere ghar se ye malba nikle dasht walon ko batao ki yahan main bhi hun kya pata mujh se hi un ka koi rasta nikle bas isi aas mein baitha hun sar-e-sahra main koi baadal mujhe aawaz lagata nikle kash aisa ho tere shahr mein pyasa aaun aur tere qadmon se ho kar koi dariya nikle raqs karte the tere hathon pe kitne aalam ab to aankhon se meri rang hina ka nikle tere hone pe bhi ek dar sa laga rahta hai kaise is ji se tere hijr ka dhadka nikle