wo zindagi hai us ko khafa kya kare koi pani ko sahilon se juda kya kare koi barish ka pahla qatra hi basti dubo gaya ab apni jaan ka qarz ada kya kare koi jab gard ud rahi ho harim-e-khayal mein aaina dekhne ke siwa kya gire koi wo kya gae ki shahr hi viran ho gaya ab jangalon mein rah ke sada kya kare koi apne badan ki aag se shamen jalaiye kachche gharon mein jashn-e-hina kya kare koi zahrab-e-zindagi to ragon mein utar gaya ab ai gham-e-firaq bata kya kare koi mitti se khelta hua rizq-e-hawa hua 'akhtar' ab aur sharh-e-wafa kya kare koi