ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mera taj gadayana banaya hota

apna diwana banaya mujhe hota tu ne
kyun khirad-mand banaya na banaya hota

khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-jaanana banaya hota

nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota

dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota

sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota

tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota

shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota

roz mamura-e-duniya mein kharabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close