ye lal dibiya mein jo padi hai wo munh dikhai padi rahegi jo main bhi rutha to subh tak tu saji sajai padi rahegi na tu ne pahne jo apne hathon mein meri in ungliyon ke kangan to soch le kitni suni suni teri kalai padi rahegi hamare ghar se yun bhag jaane pe kya banega main sochta hun mohalle-bhar mein kai mahinon talak dahai padi rahegi jahan pe cup ke kinare par ek lipstick ka nishan hoga wahin pe ek do qadam ki duri pe ek tie padi rahegi har ek khane se pahle jhagda khilaega kaun pahle luqma hamare ghar mein to aisi baaton se hi ladai padi rahegi aur ab mithai ki kya zarurat main tujh se mil-jul ke ja raha hun magar hai afsos tere hathon ki ras malai padi rahegi mujhe to office ke aath ghanton se hol aata hai soch kar ye hamare mabain roz barson ki ye judai padi rahegi jo meri mano to mere office main koi marzi ki job kar lo ki hum ne kya kaam-wam karna hai karawai padi rahegi hamare sapne kuchh is tarah se jagae rakhenge raat sari ki din chadhe tak to meri bahon mein kasmasai padi rahegi is ek bistar pe aaj koi nai kahani janm na le le agar yun hi is pe silwaton se bhari razai padi rahegi meri mohabbat ke tin darje hain sahal mushkil ya ghair-mumkin to ek hissa hi jhel paegi do tihai padi rahegi