ye mat samajhna faqir hun main ana ke haq mein kasir hun main mujhe sitara samajhne walon falak pe badr-e-munir hun main hai munsifi mere dam se qaem adalaton ki mushir hun main hai mujh mein zanjir chahaton ki mohabbaton ki asir hun main haqiqaten mujh mein khema-zan hain sadaqaton ki safir hun main kahan gai ishq ki wo shiddat na tu wo ranjha na hir hun main kahan raha tirgi ka aalam azal se raushan-zamir hun main saja hai sheron mein dard 'mina' ghazal ke lahje ki 'mir' hun main