jal gaya KHak hua kab ka wo parwana-e-dil

jal gaya khak hua kab ka wo parwana-e-dil
khatm hota nahin ab tak magar afsana-e-dil

hashr ke din pe utha rakh ki bada sauda hai
aalam-e-husn se mumkin nahin baiana-e-dil

aap ki ek nigah-e-naz use chhalka deti
qabil-e-sharbat-e-didar tha paimana-e-dil

hum jabhi samjhe the anjam ki jab fitrat ne
khak aur khun se tayyar kiya khana-e-dil

jalne wale se alag ho gae ham-mashrab-e-jaan
de ke aag uth gai wo sohbat-e-rindana-e-dil

tishna-e-jam-e-mohabbat se hamin waqif hain
qadr kya un ko jo toda kiye paimana-e-dil

dohri zanjiron mein jakda hai muqaddar ne mujhe
us ka diwana hai dil aur main diwana-e-dil

zabt karta hun magar dar hai ki sham-e-gham mein
kahin tang aa ke na khul jae sulah-khana-e-dil

ab to qatra nahin han wo bhi kabhi din the ki hum
mast ho jate the khud dekh ke mai-khana-e-dil

ja-e-ummid-o-tamanna ka pata milta hai
ab bhi dilkash hai mere waste virana-e-dil

hai to mitti ka magar qudarat-e-khaliq bhi hai
husn wale na bana len koi paimana-e-dil

dekh kar tafraqa-e-mehr-o-jafa hum samjhe
ek hi waza ka banta nahin kashana-e-dil

kaenat-e-do-jahan pas hai phir tang nahin
aur bhi kuchh ho to khali hai abhi khana-e-dil

rukh-e-rangin-e-hasin ek chaman hai lekin
raundne ke liye ho sabza-e-begana-e-dil

husn hai khud hain zamana hai wo kyun ghabraen
aur yahan kya hai magar han wahi virana-e-dil

mit ke taswir-e-kharabaat hai ab to warna
kaba kahte the sab aisa tha sanam-khana-e-dil

kahiye qissa koi arbab-e-wafa ka 'saqib'
chhodiye zikr jafa ka ki hai begana-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close