zamin par sar-nigun baitha hua hun aur apna reza reza chun raha hun agar uljhan nahin koi to kyun main musalsal sochta hun jagta hun asir-e-roz-o-shab hai zindagani main is takrar se ukta gaya hun meri uryaniyon par shor kyun hai agar andhon mein nanga ho gaya hun tum apni raushni mahfuz rakhna tumhaare waste main bujh raha hun kahan tak bhagta ai shahr walo so ab main qatl hone aa gaya hun