zindagi tham liya karte hain baDh kar lamhe

zindagi tham liya karte hain badh kar lamhe
waqt aane pe badalte hain muqaddar lamhe

aa bhi ja tujh ko bulate hain ye kah kar lamhe
phir na aaenge bahaaron ke moattar lamhe

har ghadi ek sa mausam bhi kahan rahta hai
hain kahin phul se komal kahin patthar lamhe

sab mein yari hain yahan dosti yari sukh dukh
kis ne dekhe hain yahan umr se badh kar lamhe

zindagi aaj bhi masruf bahut hai lekin
hum chale aae tere pas chura kar lamhe

ek na-chiz ko fankar bana dete hain
hasil-e-umr hua karte hain dam-bhar lamhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close