hasan kuza-gar (4)

jahan-zad kaise hazaron baras baad
ek shahr-e-madfun ki har gali mein

mere jam o mina o gul-dan ke reze mile hain
ki jaise wo is shahr-e-barbaad ka hafiza hon

hasan nam ka ek jawan kuza-gar ek nae shahr mein
apne kuze banata hua ishq karta hua

apne mazi ke taron mein hum se piroya gaya hai
hamin mein ki jaise hamin hon samoya gaya hai

ki hum tum wo barish ke qatre the jo raat bhar se
hazaron baras rengti raat bhar

ek dariche ke shishon pe girte hue sanp lahren
banate rahe hain

aur ab is jagah waqt ki subh hone se pahle
ye hum aur ye naujawan kuza-gar

ek ruya mein phir se piroe gae hain
jahan-zad

ye kaisa kohna-paraston ka amboh
kuzon ki lashon mein utra hai

dekho
ye wo log hain jin ki aankhen

kabhi jam o mina ki lim tak na pahunchin
yahi aaj is rang o roghan ki makhluq-e-be-jaan

ko phir se ulatne palatne lage hain
ye un ke tale gham ki chingariyan pa sakenge

jo tarikh ko kha gai thin
wo tufan wo aandhiyan pa sakenge

jo har chikh ko kha gai thin
unhen kya khabar kis dhanak se mere rang aae

mere aur is naujawan kuza-gar ke
unhen kya khabar kaun si titliyon ke paron se

unhen kya khabar kaun se husn se
kaun si zat se kis khadd-o-khal se

main ne kuzon ke chehre utare
ye sab log apne asiron mein hain

zamana jahan-zad afsun-zada burj hai
aur ye log us ke asiron mein hain

jawan kuza-gar hans raha hai
ye masum wahshi ki apne hi qamat se zholida-daman

hain juya kisi azmat-e-na-rasa ke
unhen kya khabar kaisa aaseb-e-mubram mere ghaar sine pe tha

jis ne mujh se aur us kuza-gar se kaha
ai hasan kuza-gar jag

dard-e-risalat ka roz-e-bashaarat tere jam o mina
ki tishna-labi tak pahunchne laga hai

yahi wo nida ke pichhe hasan nam ka
ye jawan kuza-gar bhi

pyape rawan hai zaman se zaman tak
khizan se khizan tak

jahan-zad main ne hasan kuza-gar ne
bayaban bayaban ye dard-e-risalat saha hai

hazaron baras baad ye log
rezon ko chunte hue

jaan sakte hain kaise
ki mere gil o khak ke rang o roghan

tere nazuk aaza ke rangon se mil kar
abad ki sada ban gae the

main apne masamon se har por se
teri banhon ki pahnaiyan

jazb karta raha tha
ki har aane wale ki aankhon ke mabad pe ja kar chadhaun

ye rezon ki tahzib pa len to pa len
hasan kuza-gar ko kahan la sakenge

ye us ke pasine ke qatre kahan gin sakenge
ye fan ki tajalli ka saya kahan pa sakenge

jo badhta gaya hai zaman se zaman tak
khizan se khizan tak

jo har naujawan kuza-gar ki nai zat mein
aur badhta chala ja raha hai!

wo fan ki tajalli ka saya ke jis ki badaulat
hama ishq hain hum

hama kuza-gar hum
hama-tan khabar hum

khuda ki tarah apne fan ke khuda sar-ba-sar hum
aarzuen kabhi payab to saryab kabhi

tairne lagte hain behoshi ki aankhon mein kai chehre
jo dekhe bhi na hon

kabhi dekhe hon kisi ne to suragh un ka
kahan se pae

kis se ifa hue andoh ke aadab kabhi
aarzuen kabhi payab to saryab kabhi

ye kuzon ke lashe jo in ke liye hain
kisi dastan-e-fana ke waghaira waghaira

hamari azan hain hamari talab ka nishan hain
ye apne sukut-e-ajal mein bhi ye kah rahe hain

wo aankhen hamin hain jo andar khuli hain
tumhein dekhti hain har ek dard ko bhanpti hain

har ek husn ke raaz ko jaanti hain
ki hum ek sunsan hujre ki us raat ki aarzu hain

jahan ek chehra darakhton ki shakhon ke manind
ek aur chehre pe jhuk kar har insan ke sine mein

ek barg-e-gul rakh gaya tha
usi shab ka duz-dida bosa hamin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close