main zinda tha magar main tere surkh nil-gun safed bulbule mein qaid tha hawa wasia thi magar hudud se riha na thi na mere par shikasta the na meri sans kam tha bulbule ki kaenat mein mera hi dam-qadam magar meri udan surkh nil-gun safed maqbare ke aakhiri khutut se siwa na thi main haal ke athah paniyon mein gharq ya guzashta waqt ke bhanwar ke dast-e-atishin mein ek said-e-zard tha to main ne kya kiya ki apni sans rok kar ke, aankhen mich kar ke sar ko aage kar ke shanon ko jhatak ke ek jast mein hi jast ki si sard chhat ko tod kar main us ke par ho gaya tilism se sada uthi: hamen shikast ho gai shikast ho gai kast ho gai ast ho gai to gai o gai shab-e-baraat aatishin tamashon ka saman utha ke meri bachchiyon ne na-gahan pachas paise ke anar ke labon pe ek qatra nar rakh di khak ko ye garm bosa kab nasib tha! anar mein jo qaid tha jo zarra zarra said tha wo jin ubal pada siyahiyan safed surkh nil-gun tuyur se chamak uthin magar na jaane phir kidhar tuyur ud gae anar ko shab-e-baraat ne nadi mein dafn kar diya sada-e-bazgasht qatra qatra kankaron ki tarah gharq ho gai tilism rah gaya magar tilism mein jo qaid tha wo us sada ke sath kho gaya