waise to pahad zamin ka sukda hua libas hain lekin jab barish hoti hai un ki silwaton par ujlahat ug aati hai sanp ki dum si sadak par chalte hue mausam mujhe apni kundli mein qaid kar leta hai lahr-dar-lahr munqasim pahadon ka husn rangon ki is dhundhlahat mein poshida hai jise hamari bimar aankhen kabhi munakis nahin kar patin barish ke baad jab dharti apne maile kapde utarti hai main har sham, raazon ke taaqub mein us ke daudi badan par phail jata hun aur diwaren phalangta, khuda ke shikasta sahn mein naqab lagata hun mere wajud mein ek andha khala phailne lagta hai main dekhta hun aasman mein koi uqab chhapa hai jo hamari zindagiyon ke chuze uchak raha hai main un darakhton se mukhatab hota hun jin ki jadon mein chyuntiyan apni maut par sogwar rahti hain bhigi shakhon par sahme kawwe raat bhar kanpte rahte hain kitni be-rahm lagti hai zindagi! jahan maut barasti hai aur lakhon sansen be-waqat aawara kutton ki tarah mar jati hain wahan phir muskuraata ghana jangal ug aata hai is la-mutanahi wusat mein hum sabun par chimte baal se zyaada kuchh nahin rahte waqt jise, edi par jame mel ki tarah dho dalta hai main apni zaif scienci quwwat se mahsus karta hun sab se azim dukh yahi hai ki kaenat hamari dastaras mein nahin is ranjuri safar se be-bas lautte hue main juton se mitti jhadta hun aur khidki se jhankte ujle manzar mein be-fikri ki chae pine lagta hun dur pahadon par, musalsal barish hoti rahti hai
This is a great dum ki shayari. True lovers of zindagi on shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ganpati shayari in marathi. Please share if you liked this!!!