kitni rangin hai faza kitni hasin hai duniya kitna sarshaar hai zauq-e-chaman-arai aaj is saliqe se sajai gai bazm-e-giti tu bhi diwar-e-ajanta se utar aai aaj ru-numai ki ye saat ye tahi-dasti-e-shauq na chura sakta hun aankhen na mila sakta hun pyar saughat, wafa nazr, mohabbat tohfa yahi daulat tere qadmon pe luta sakta hun kab se takhil mein larzan tha ye nazuk paikar kab se khwabon mein machalti thi jawani teri mere afsane ka unwan bani jati hai dhal ke sanche mein haqiqat ke kahani teri marhale jhel ke nikhra hai mazaq-e-takhliq sai-e-paiham ne diye hain ye khad-o-khal tujhe zindagi chalti rahi kanton pe, angaron par jab mili itni hasin, itni subuk chaal tujhe tere qamat mein hai insan ki bulandi ka waqar dukhatar-e-shahr hai, tahzib ka shahkar hai tu ab na jhapkegi palak, ab na hatengi nazren husn ka mere liye aakhiri mear hai tu ye tera paikar-e-simin, ye gulabi sari dast-e-mehnat ne shafaq ban ke udha di tujh ko jis se mahrum hai fitrat ka jamal-e-rangin tarbiyat ne wo latafat bhi sikha di tujh ko aagahi ne teri baaton mein khilain kaliyan ilm ne shakkarin lahje mein nichode angur dilrubai ka ye andaz kise aata tha tu hai jis sans mein nazdik usi sans mein dur ye latafat, ye nazakat, ye haya, ye shokhi sau diye julte hain umdi hui zulmat ke khilaf lab-e-shadab pe chhalki hui gulnar hansi ek baghawat hai ye aain-e-jarahat ke khilaf hausle jag uthe soz-e-yaqin jag utha nigah-e-naz ke be-nam ishaaron ko salam tu jahan rahti hai us arz-e-hasin par sajda jin mein tu milti hai un rah-guzaron ko salam aa qarib aa ki ye juda main pareshan kar dun tishna-kaami ko ghataon ka payam aa jae jis ke mathe se ubharti hain hazaron subhen meri duniya mein bhi aisi koi sham aa jae