zindagi ke kai mear hain waraq waraq ek rukh-e-ehsas ko fitri aur masnui sath par bantana apne aur parae ko do daeron mein taqsim karna ya barud ke dhamakon mein zamin ko tukde tukde karna zindagi barae zindagi ko manne wale waqt ka kohra chhatte hi aastha ke aks phaila dete hain pagal khayal ki shiddat ghat jati hai us pal shakh-dar-shakh phailne wali khushbu kisi ajnabi kalai par ek rakhi bandh deti hai pal bhar mein kadwi sachchaiyan rishton ki tamam haden tod kar bhai bahan ke rishte mein badal jati hain zehn mein maujud tamam talkhiyan khushnuma ehsas mein khud-bakhud dhal jati hain 'imam-azam' ki dua hai be-misal rishte ka ye bandhan sada qaem rahe