ruh labon tak aa kar soche kaise chhodun qarya-e-jaan yusuf qasr-e-shahi mein bhi kab bhula kanan ki galiyan maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai kahish-e-dil bhi khwahish-e-dil hai aafat-e-jaan bhi rahat-e-jaan meri wahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair yun to adam mein wusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan ghunche ab tak rang bhare hain ab tak hont umang-bhare tuti-phuti qabron se hain pathrai aankhen nigaran sirf ek nigah-e-garm se tuten shoalon mein parwan chadhen hae ye nazuk nazuk rishte hae ye bazm-e-shish-garan dasht-o-daman mein koh kamar mein bikhre hue hain phul hi phul ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mere boson ke nishan aankh ki ek jhapki mein bita kitne baras ka qurb-e-jamal ishq ke ek pal mein guzre hain kitne qaran kitni sadiyan sari duniya mera kaba sab insan mere mahbub dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat kis ko khabar thi mahw rahegi qat-e-safar mein umr-e-rawan jannat ki yakh-bastagyon ko garmaega us ka khayal subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan