Dekho Aaj Fir Kismat Ka Faisla Mere Hisse Me Aaya Hai Wo Sapno Ka Mehboob Ab

Dekho aaj fir kismat ka faisla mere hisse me aaya hai
wo sapno ka mehboob ab haqiqat me utar aaya hai

uff kya adaaye uski, kya kaatilana uska andaaz hai
jese chand khud aasman chor zamee par aaya he

ab ki zid he samalu us chand ko khud me par yaaro
usne ab tak is sitaare ki mohabbat ko na jana hai

uske liye to me bhi ek aam sitara hu aur sitaaro ki tarah
hai kitna aziz wo mere liye ab us chand ko ye batana hai

roshni uski to har sitaare par padti he par yahi tamanna hai
ek din uski roshni par bas sirf aur sirf mera haq jamana hai

ha wo meri hogi ab ki yakeen apni kismat par bhi hone laga hai
kyuki badi muddato ke baad meri kismat ne muje pehchana hai

tamanna to bahut he dil me par sabse aziz kuch ye he yaaro
jhuk-kar uske kadmo me use apni mohabbat ka khuda banana hai…

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close