main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho mastana hawa ke jhonkon se har bar wo parde ka hilna parde ko pakadne ki dhun mein do ajnabi hathon ka milna aankhon mein dhuan sa chha jaana sanson mein sitare se khulna raste mein tumhaara mud mud kar takna wo mujhe jate jate aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate nazron ka taras kar rah jaana ek aur jhalak pate pate baalon ko sukhane ki khatir kothe pe wo mera aa jaana aur tum ko muqabil pate hi kuchh sharmana kuchh bal khana ham-sayon ke dar se katrana ghar walon ke dar se ghabrana ro ro ke tumhein khat likhti hun aur khud padh kar ro leti hun haalat ke tapte tufan mein jazbaat ki kashti kheti hun kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti hun main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho