aa apne dil mein meri tamanna liye hue shauq-e-kalam o zauq-e-tamasha liye hue dil le ke khud ko rahte hain kya kya liye hue shishe wahi to hain meri duniya liye hue mahrumiyon pe dil ki mita ja raha hun main hai khak tera naqsh-e-kaf-e-pa liye hue tariki-e-faza ka shikayat-guzar hun sine mein aaftab-e-suwaida liye hue pahle mere sahaare pe tha kar-o-bar-e-zist ab main hun zindagi ka sahaara liye hue ji chahta hai umr-e-mohabbat na khatm ho mar jaiye kisi ki tamanna liye hue apna waqar-e-ishq kabhi aazma ke dekh hogi jabin-e-husn bhi sajda liye hue khush hun ki jaise god mein hai lal-e-shab-charagh daman mein apne lala-e-sahra liye hue nash-e-rawan hun zist hai meri fareb-e-zist phirta hun zindagi ka janaza liye hue josh-e-junun mein aalam-waraftagi na puchh sahra se hum guzar gae sahra liye hue sar un ke aastan pe jo pahunche to ho yaqin sauda liye hue hai ki sajda liye hue hum tur par gae bhi to is shan se gae musa khade rahe yad-e-baiza liye hue ai husn mere haal mein tu bhi sharik ho donon jahan ka bar hun tanha liye hue be-parda be-tayyun o be-nam dekh use wo to hai sirf nam ka parda liye hue 'simab' qadr-dan hain mere khan-e-jaansath hazir hua hun fikr ka hadiya liye hue