hairat-o-khauf ke mehwar se nikal padte hain aao aaseb-zada ghar se nikal padte hain jism ko aur sametun to rag-e-jaan ruk jae panw phailaun to chadar se nikal padte hain wo kiya karta hai bandon ki hifazat yun bhi raste beach samundar se nikal padte hain sabr mazlum ka jab had se guzarta hai to phir war tute hue khanjar se nikal padte hain jab main kahta hun ghazal samne us ke qaisar muzmahil lafz bhi bistar se nikal padte hain