aa gae ho to raho sath sahar hone tak hum bhi shayad hain yahi raat basar hone tak nama-bar sust-qadam us pe ye rah-e-dushwar zinda rahna hai hamein un ko khabar hone tak dam nahin lenge kisi taur ye khate hain qasam zulm ki aahani diwar mein dar hone tak aasmanon se ladi dil se nikal kar ek aah ek pal chain se baithi na asar hone tak aql khamosh tamashai ki taswir bani ishq takraya hai maidan ke sar hone tak khwab-e-ghaflat se na bedar hue hum jo abhi zulm badhta hi rahega ye sahar hone tak us ke kun kahne se takhliq hue kaun-o-makan der kya lagti hai mitti ko bashar hone tak laut aane ko kaha us ne to aankhen 'athar' hum ne raste pe rakhin us ka guzar hone tak