mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain kitab-e-dil mein to jine marne ki muddaten bhi likhi hui hain barahna pedon ke zawiyon mein ghane andhere uge hain lekin inhi andheron mein raushni ki ibaraten bhi likhi hui hain yahi zamin hai ki jis ne mujh ko mera hi qatil bana diya hai isi zamin par mere lahu ki shahadaten bhi likhi hui hain hanut chehron ke aainon mein hawa ki lahron ne ye bhi dekha khandar khandar par nae dinon ki bashaaraten bhi likhi hui hain meri nazar mein suragh-e-manzil shuur ban kar chamak raha hai meri jabin par kade safar ki masafaten bhi likhi hui hain sitam ke maron ki be-hisi ko tamasha-gahon mein lane walo nahif jismon ki bebasi mein baghawaten bhi likhi hui hain jadid harfon ke daeron mein purani khushbu rachi hui hai sada ke rukh par gai ruton ki shabahaten bhi likhi hui hain zamin ki thandi tahon ke andar alaw karwat badal rahe hain hawa ke sakit pane pe 'athar' qayamaten bhi likhi hui hain