aa gai nind sar-e-sham khuda khair kare kis liye mil gaya aaram khuda khair kare tha to aaghaz mohabbat ka bahut hi pur-kaif aur ab talkh hai anjam khuda khair kare dastan-e-rasan-o-dar na taza ho jae un ke lab par hai mera nam khuda khair kare be-irada lab-e-mayus pe kyon aaya hai shikwa-e-gardish-e-ayyam khuda khair kare ab na maikhane mein wo agli si raunaq baqi na wo mina hai na wo jam khuda khair kare khalish-e-dard hi marne ke liye kya kam thi us pe ye hasrat-o-alam khuda khair kare husn-e-dil tod ke mamduh-e-jahan hai 'arshad' hae ye khu-e-dil-aram khuda khair kare