zalim ke aage sar ko jhukaya nahin kabhi yani ki qad ko apne ghataya nahin kabhi duniya ne mere dil ko dukhaya hai bar bar main ne kisi ke dil ko dukhaya nahin kabhi gham ye nahin ki chhod ke mujh ko chala gaya gham ye hai phir wo laut ke aaya nahin kabhi ek wo hai mujh ko yaad bhi karta nahin magar ek main hun jis ne us ko bhulaya nahin kabhi yun to khuda ne mujh ko sabhi kuchh ata kiya par jo main chahta tha wo paya nahin kabhi us ki taraf se dosto tark-e-wafa ke baad main bhi use nigah mein laya nahin kabhi main to wafa nibhata raha umr bhar 'malik' us ne hi apna farz nibhaya nahin kabhi