aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi log dekhenge tamasha jo mohabbat hogi dil-lagi tark-e-mohabbat nahin taqsir muaf hote hote mere qabu mein tabiat hogi un ke aane ki khabar sun ke to ye haal hua jab wo aaenge to phir kya meri haalat hogi tukde kar dale koi us ke to main bhi khush hun dil na hoga na meri jaan mohabbat hogi wo chhupaya karen is baat se kya hota hai aap sar chadh ke pukaregi jo ulfat hogi ye na farmao shab-e-hijr kategi kyunkar tum ko kya kaam jo hogi meri haalat hogi mar dala mujhe be-maut bada kaam kiya khub tarif teri ai shab-e-furqat hogi ai dil-e-zar maza dekh liya ulfat ka hum na kahte the ki is kaam mein zillat hogi ye bhi kuchh baat hai phir wasl na ho ai 'jauhar' ranj rahat se hua ranj se rahat hogi