daudta rahta hun na-malum samton ki taraf dekhta hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue ab mera ugla nishana khanqahon ki taraf ab mere daman se uljhi hain katili jhadiyan kyun nikal aaya tha ghar se khar-zaron ki taraf sakht tanhai ki wahshat se mujhe marna nahin ghar se ghabra kar nikal padta hun rahon ki taraf dekhna khurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir dhundne nikla hai khud ko mah-paron ki taraf