aa gaya phir bahaar ka mausam husn ke karobar ka mausam kis ada se sanwar ke aaya hai rang-e-lail-o-nahaar ka mausam ahl-e-dil ke liye palat aaya fursat-e-intizar ka mausam khud-bakhud phul be-hijab hue josh mein hai nikhaar ka mausam ab khulega bharam wafaon ka rang laega pyar ka mausam kyon na ho zikr-e-gul-rukhan 'azhar' auj par hai bahaar ka mausam