chalo pi len ki yar aae na aae ye mausam bar bar aae na aae hum us ki rah dekhenge hamesha wo jaan-e-intizar aae na aae ye socha hai ki us ko bhul jaen ab is dil ko qarar aae na aae gulabon ki tarah tum taza rahna zamane mein bahaar aae na aae 'zamir' is zindagi se kyon khafa ho use phir tum pe pyar aae na aae