aa gaya phir ramazan kya hoga hae ai pir-e-mughan kya hoga bagh-e-jannat mein saman kya hoga tu nahin jab to wahan kya hoga khush wo hota hai mere nalon se aur andaz-e-fughan kya hoga dur ki rah hai saman hain bade itni mohlat hai kahan kya hoga dekh lo rang-e-paridan ko mere dil jalega to dhuan kya hoga hoga bas ek nigah mein jo tamam wo ba-hasrat nigaran kya hoga hum ne mana ki mila mulk-e-jahan na rahe hum to jahan kya hoga mar ke jab khak mein milna thahra phir ye turbat ka nishan kya hoga jis tarah dil hua tukde az-khud chaak is tarah katan kya hoga ya tera zikr hai ya nam tera aur phir wird-e-zaban kya hoga ishq se baz na aana 'haidar' raaz hone de ayan kya hoga