is baat ko waise to chhupaya na gaya hai sab ko ye magar raaz bataya na gaya hai parde ki kahani hai ye parde ki zabani bas is liye parde ko uthaya na gaya hai hain bhed kai ab bhi chhupe qaid rapat mein kuchh nam the shamil so dikhaya na gaya hai ambar ki ye sazish hai ajab chand ke badle duje kisi suraj ko ugaya na gaya hai harfon ki zabani ho bayan kaise wo qissa likkha na gaya hai jo sunaya na gaya hai kuchh ahl-e-zaban aae to hain dene gawahi aankhon se magar khauf ka saya na gaya hai ye raat hai naraaz jo dekha ki hawa se do ek charaghon ko bujhaya na gaya hai