aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi dekhta ja shauq-e-wasl-e-ruh-e-bismil aur bhi dekh kar maqtal mein josh-e-khun-e-bismil aur bhi chadh gaya ek dam dam-e-shamshir-e-qatil aur bhi jab se apna kaba-e-dil jalwa-gah-e-yar hai badh gai hai aashiqon mein azmat-e-dil aur bhi chahne wala tera ek main hi to tanha nahin shukr hai is jurm-e-ulfat mein hain shamil aur bhi dekhiye phir kis tarah hota nahin un par asar kash sun lete nawa-e-parda-e-dil aur bhi chashm-e-saqi ho idhar bhi daur-e-jam-e-nigah hain darun-e-khana-e-ulfat mein hain shamil aur bhi main to pahle hi se nazr-e-asiya-e-charkh tha ishq ne rakh di mere sine pe ek sil aur bhi main to tera ho liya tu bhi to ho mera kabhi teri nazar-e-mehr ko takte hain 'bismil' aur bhi