dekhna ho gar use hasti mita kar dekh lo hai nazar ke samne khud ko chhupa kar dekh lo shisha-e-dil ko hamare ek nigah se dekh lo phir usi andaz se tegh aazma kar dekh lo gor-e-majanun pe jo laila ne kaha kya haal hai qabr se aai sada parda utha kar dekh lo main koi musa nahin jo dekh kar aa jawe ghash gar nahin bawar mujhe jalwa dikha kar dekh lo lab shikayat ko kahin hil jawen to phir zabt kya ek kya sau bar bande ko sata kar dekh lo kya kahun kya haal hai dil ka tumhaare hijr mein bas ke khud aankhon mein aur dil mein sama kar dekh lo umr-bhar gulzar-e-hasti ki na hogi aarzu bulbul-e-dil ko mere qaidi bana kar dekh lo jalwa-e-husn-e-do-alam hai usi darbar mein sang-e-dar par un ke bas sar ko jhuka kar dekh lo aashiyana faqr ka har barg har tahni pe hai jitne dil chahen jalane hon jala kar dekh lo mere aaine mein khud-bini ke saman hi nahin aks-e-jaanan se bhara rahta hai aa kar dekh lo gham nahin bijli gire jal jae dil ho jae khak arz ek 'bismil' ki hai ki muskura kar dekh lo