aa ke mahfil mein teri gham se kinara na hua mujh sa duniya mein koi dard ka mara na hua aakhir ashkon ne hi sab haal-e-dil-e-zar kaha kuchh zaban se meri izhaar ka yara na hua ye kaha tha ki mere ghar mein wo aaen yak din aa gae taish mein shayad ye gawara na hua kis tarah mere muqaddar ka sitara chamke un ki jaanib se koi aisa ishaara na hua dar se tauhin-e-mohabbat ke main khamosh raha nam phir le ke pukarun ye gawara na hua dard-o-gham jaur-o-sitam aah-o-fughan ranj-o-malal ye to sab mil gae 'nazi' wo hamara na hua