raat din ek sa rahta hai ujala mere ghar aatishin aah hai ya aath pahar ki batti pad gai rakhte hi nasur-e-jigar mein thandak us ka paikan bhi hai kya khub asar ki batti shab-e-furqat ka andhera na gaya par na gaya kaam kuchh mom ki aai na agar ki batti raat ghar us ke diye mein kahin jalti thi zarur tar-ha-e-nigah-e-ahl-e-nazar ki batti shama ki mujh ko zarurat nahin wallah 'zahir' meri raushan hai har ek misra-e-tar ki batti