aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai tere baghair kaenat ek mahshar-e-khamosh hai tere baghair aa ki phir dil mein nahin uthti koi mauj-e-nashat sard pani baada-e-sar-josh hai tere baghair nind aa aa kar uchat jati hai teri yaad mein tar-e-bistar nashtar-e-aghosh hai tere baghair jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha ab wo ek dhundla sa khwab-e-dosh hai tere baghair zindagi tujh se ibarat thi magar jab tu nahin zindagi ka apni kis ko hosh hai tere baghair aa ki mauzu-e-ghazal ko dhundhti hai har nigah naghma-e-mutrib bala-e-gosh hai tere baghair kya khabar 'simab' kab ghabra ke de de apni jaan zabt go ab tak tahammul-kosh hai tere baghair