adhura jism liye pichhe hat raha hun main ki ek kinara hun dariya ka kat raha hun main mere wajud ko wusat nahin kisi bhi tarah har ek samt se har roz ghat raha hun main asar-pazir hun ek zalzale se hasti ke zamin ke jaise har ek sans phat raha hun main hain mere waste khanjar shuaen suraj ki khuli sadak pe hun har lamha kat raha hun main hai mere samne tera kitab sa chehra aur is kitab ke auraq ulat raha hun main pighal raha hun khadi dhup hai mere sar par ki ek darakht ka saya hun ghat raha hun main mera wajud shikasta si ek naw sahi bhanwar ki lahron se tanha nimat raha hun main main ek ghazal hun mujhe kahiye kawish-e-ghaalib ki shahr shahr dimaghon mein bat raha hun main