aa rahi hai shab-e-gham meri taraf mere liye saqiya chashm-e-karam meri taraf mere liye thakne lagta hun to aawaz si aati hai koi aur do-chaar qadam meri taraf mere liye log kahte hain ki ho jati hai duniya rangin ek nazar meri qasam meri taraf mere liye paelen ku-e-nigaran mein khanak uthti hain jab wo rakhte hain qadam meri taraf mere liye jhilmilate hue tare hi sahi subh-e-firaq hain to kuchh dida-e-nam meri taraf mere liye hae wo bekasi-e-ishq ki duniya thi khilaf dair hi tha na haram meri taraf mere liye hogi kuchh aisi hi majburi-e-haalat 'shamim' iltifat ab jo hai kam meri taraf mere liye