nit-nai khush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main khalq ke hathon ko masruf-e-dua rakhta hun main khushk dharti ko ata karta hun saya abr ka qatra-e-baran pe dariya ki bina rakhta hun main dhundh hi leti hai mujh ko dhundne wali nazar apne sae ko agarche lapata rakhta hun main kyun bhala aasudgi mere muqaddar mein nahin kis liye din-raat khud ko jagta rakhta hun main phunkta rahta hun bahr-e-lafz mein 'khalid' fusun mauj-e-mani ko talatum-ashna rakhta hun main