aa rahi hai ye tur se aawaz

aa rahi hai ye tur se aawaz
aae wo jis ko tab-e-did pe naz

ye tadap aur ye aah ruh-e-gudaz
hae hain apna khud nahin hamraaz

hai wahin ibtida-e-sarhad-e-naz
ho jahan khatm aql ki parwaz

wo muqarrar to dar karen apna
dhund legi meri jabin-e-niyaz

ek mizrab-e-gham mein tut gaya
kitna nazuk tha zindagi ka saz

parda-e-zist utha raha hun main
ab to uth parda-e-harim-e-naz

un ki nichi nazar ka ochha tir
dil mein hai misl-e-umr-e-khizr daraaz

waqt-e-akhir nafas mein pata hun
teri raftar-e-naz ke andaz

kaisa giryan hai kaisa nadim hai
meri mayyat pe mera duniya-saz

har zamin sair-gah thi apni
hae wo 'abr' quwwat-e-parwaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close